Wednesday, July 31, 2013

Aj bhi yad he wo ghanto ki batey, wo khir se bhi meethi batey , wo teri yadey jot hi sataye, ab kaun bataye wo yadey wo ratey wo batey…..

Gud se bhi meethi thi wo misri, aj aj ho gayee sab kahaniya bisri…..

Jindagi badh gayee kitni agey , hum to khade he aj bhi wanhi pe……

Gila bhi kya kare tujse , jab bhulati hi nahi wo humse……

Jo bita wo itna pyara tha, jine ka jaise sahara tha….

Chup gaya wo waqt, ata hi nahi wapas kambakhat…..

Tu hi bata e dil kyu atka se he tu un palo me, na jane kyu khoya sa he un khayalo me, jawabo ko kyu dhundhta he har sawalo me…..

Ek tis uthati he nahi janti kyu, achi ya buri na samja pati hu…..

Aj bhi tu he samne yad karne ko, fir bhi kyu he itne bahane khud ko samjane  ko…..

Bahot jo mila he, na koi gila he, khushiyo se dil jhilmila sa he, par tu nahi kanhi mila sa he,kisi bhi chiz me na tu khila sa he, aj bhi wahi yado ka silsila he, jinme dil ek pal nab hula sa he, jindagi aj kaisi bhulbhulaiya he…….

tuje na ahesas he harjaiya, aj bhi dil he sirf teri parchaiya, tu hi that u hi he tu hi rahega dil janiya….

No comments:

Post a Comment