Wahi hawa wahi pani wahi badal sab ek sa he, ek sa man ek sa
tan har rang ek sa he…….
Wahi mitti k bartan ek se, wahi simta sa jivan sab ka ek sa
he, fir kyu koi ek khas; khas hokar na
woe k sa he…..
Kadam sab ek se hurdam chalte ek se, fir bhi kyu ek si har
aahat me wahi hamara humdum sa he….
Aaina ek sa chahere ek se parchaiyo me dikhate log ek se,
fir kyu man ki gehraiyo me basta koi ek
he…..
Rago me behta khun ek sa jism ek sa, usme basne wala dil ek
sa, fir kyu wo dhadkata kisi ek k liye alag sa….
Apne ek se unse rista ek sa, sab se najdikiya ek si, fir b
koi ek se judnewali pyar ki duniya alag si……
Ek sa samndar ek sa pani , pani ki bunde ek si, fir kyu aus ki ek bund chamkati alag si……..
Kano me padnewali avaj ek si , pyar ka name k sa, jajbat ek
se, fir mera pyar kyu alag sa,
usase judnewali har bat alag si, khud se rubru
karanewala ahesas alag sa, us khas riste ka agaz alag sa….
dil kyu tumse itna khus he nahi janti…bahoto se mili par
tumse milke laga jaise khud se mili
No comments:
Post a Comment